Jane Kaha Chale Gaye Wo Din | Ashish Raj Kiran - Web Author & Shayar
बारिश, बादल, चांद, हवाएं और ये शमा प्यारा, मुझे बेकार लगता है तुम्हारे बिन जहां सारा : Ashish Raj Kiran

Jane Kaha Chale Gaye Wo Din

The Golden Days

Jane kaha gaye wo din, such hai dosto wo din pata nahi kis darakh me jakar chhup gaye, maine har jugat laga li, har tarah se dekhne ki koshish ki par mujhe kuch bhi waisa dikha hi nahi jiski main tamanna kar raha tha .


Aaj se kareeb 10 ya 12 saal pehle jab kartik purnima aati to lagta tha ki aaj koi festival hai, uss time bachcho me jo utsaah hota tha shayad hi lafjo me baya ho paye, Kartik Purnima ka naam sunte hi bachche khush ho jate the, shayad ye soch kar ki wo mela ghumne jayenge aur waha se khilaune khareedenge, etc.

Kartik Purnima ke din Ganga me nahana shubh mana jata hai Hindu dharma me, jo log Ganga nadi se bahut dur rahte the wo log ek din pehle se hi aakar Ganga ke pawan tat par sukh aur shanti ka anubhav karte the. Bramha Kaal se hi bailo ki ghantiyo ki madhur dhwaniyaan kano me padti aur utsaah ko amantrit karti. Tab log bailgadi se jate the, shayad tab 2 wheeler and 4 wheeler ki pahuch aam aadmi tak nahi thi. Motor vehicles ka use sirf bade log hi karte the. Aaj har insaan ki pahuch me hai motor vehicles and bailgadi to aaj maine ek nahi dekhi, soch raha tha ki shayad aaj ek ya do bailgadi  ke darshan ho jayenge par shayad main galat tha.

Ab wo din dur nahi jab bailgadiyaan sirf kitaabon me hi dekhne ko milengi aur hamari aane wali generation isse kabhi bhi vastvikta me nahi dekh payegi. Na to ab gaon me bail dikhte hai aur na hi bailgadi. Aaj itna parivartan ho gaya hai ki har gaun me roj mele lagte hai, mere kahne ka matlab ki har gaun me shops and daily needs ki aur bhi sari jarurat ki samaan maujood hai. To fir log wahi par samaan le lenge itni dur kaun jayega, rahi baat ghumne ki to aaj yug me kisi ke pass itna time hi nahi hai ki wo kisi ka dukh-sukh puchhe, to wo mela dekhne  kaha jayega.

Ek samay tha ki jab main mela ghumne jata tha to itni bheed hoti thi ki agar ek baar main apni mummy ki ungli chhod du to dhundhna muskil ho jata tha, ye baat tab ki hai jab main chhota hua karta tha and aaj jab main mela ghumne jata hu to iss kone se uss kone me dekh sakta hu. Log aaj mela jate hai bike leke aur pura mela ghum lenge par bike se nahi utarte to aap soch hi sakte hai ki kaisa seen hoga.

Na jane kaha chale gaye wo din !!!

0 Comments

कृपया प्रतिक्रिया दें (Feedback Please)